meri qismat ke sitare mein siyahi kuchh nahin
merī qismat ke sitāre meñ siyāhī kuchh nahīñ
phir bhī anvār-e-tajallī yā ilāhī kuchh nahīñ
ab ġham-e-imroz kyā andesha-e-fardā kahāñ
is gadā.ī ke muqābil bādshāhī kuchh nahīñ
ek muddat se chaman meñ be-nasheman huuñ magar
bāġhbāñ se shikva-hā-e-kam-nigāhī kuchh nahīñ
kar diyā zāhir 'musavvir' ne har ek tasvīr ko
husn ke jalve ba-juz shān-e-ilāhī kuchh nahīñ
meri qismat ke sitare mein siyahi kuchh nahin
phir bhi anwar-e-tajalli ya ilahi kuchh nahin
ab gham-e-imroz kya andesha-e-farda kahan
is gadai ke muqabil baadshahi kuchh nahin
ek muddat se chaman mein be-nasheman hun magar
baghban se shikwa-ha-e-kam-nigahi kuchh nahin
kar diya zahir 'musawwir' ne har ek taswir ko
husn ke jalwe ba-juz shan-e-ilahi kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.