meri ruswai ka yun jashn manaya tumne
merī rusvā.ī kā yuuñ jashn manāyā tum ne
ret par naam likhā aur miTāyā tum ne
fikr kī dhuup meñ jhulsī huuñ ka.ī sadiyoñ tak
maiñ ne paayā hai tumheñ mujh ko na paayā tum ne
maiñ ne jab chāhā bhulā duuñ tirī yādoñ ko tabhī
pyaar kā giit mujhe aa ke sunāyā tum ne
ishq ne sudh hī bhulā dī thī mire tan man kī
TuuT hī jaatī magar mujh ko bachāyā tum ne
vaqt ne mujh se usī vaqt hañsī chhīnī hai
jab bhī rotī huī āñkhoñ ko hañsāyā tum ne
ehtiyātoñ ne mire paaoñ vahīñ rok liye
jab mirī samt kabhī haath baḌhāyā tum ne
meri ruswai ka yun jashn manaya tum ne
ret par nam likha aur miTaya tum ne
fikr ki dhup mein jhulsi hun kai sadiyon tak
main ne paya hai tumhein mujh ko na paya tum ne
main ne jab chaha bhula dun teri yaadon ko tabhi
pyar ka git mujhe aa ke sunaya tum ne
ishq ne sudh hi bhula di thi mere tan man ki
TuT hi jati magar mujh ko bachaya tum ne
waqt ne mujh se usi waqt hansi chhini hai
jab bhi roti hui aankhon ko hansaya tum ne
ehtiyaton ne mere paon wahin rok liye
jab meri samt kabhi hath baDhaya tum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.