meri sanson se yun aae bhini bhini aag ki KHushbu
merī sāñsoñ se yuuñ aa.e bhīnī bhīnī aag kī ḳhushbū
jogī kī dhūnī se jaise uḌtī hai bairāg kī ḳhushbū
maañ kā haath pakaḌ kar jis se ho kar maile jaate the
mahuvā ke us baaġh se aa.e maañ ke surīle raag kī ḳhushbū
maañ kī gujhiyā mīThe pārle puurī aur kachauḌī soñdhī
phīkī holī yaad dilā.e Tesū vaale phaag kī ḳhushbū
jis meñ tū ne haath the dho.e kachche duudh sā mahke hai
terī ḳhushbū se miltī hai jharne ke is jhaag kī ḳhushbū
sab ke chūlhe alag alag haiñ jab se ammāñ guzrī haiñ
ujḌe chauke se aatī hai ammāñ vaale saag kī ḳhushbū
meri sanson se yun aae bhini bhini aag ki KHushbu
jogi ki dhuni se jaise uDti hai bairag ki KHushbu
man ka hath pakaD kar jis se ho kar maile jate the
mahuwa ke us bagh se aae man ke surile rag ki KHushbu
man ki gujhiya miThe parle puri aur kachauDi sondhi
phiki holi yaad dilae Tesu wale phag ki KHushbu
jis mein tu ne hath the dhoe kachche dudh sa mahke hai
teri KHushbu se milti hai jharne ke is jhag ki KHushbu
sab ke chulhe alag alag hain jab se amman guzri hain
ujDe chauke se aati hai amman wale sag ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.