meri sari kamai lene lagin
merī saarī kamā.ī lene lagīñ
sāñseñ mujh se vidā.ī lene lagīñ
karvaToñ se adā nahīñ hotī
nīndeñ jo muñh dikhā.ī lene lagīñ
ḳhvāb kā pairahan utārā to
nañgī āñkheñ jamā.ī lene lagīñ
chāñd jaise ho niiñd kī golī
rāteñ kyā kyā davā.ī lene lagīñ
mujh ko tūfāñ meñ Dūbnā hī thā
kashtiyāñ kyuuñ burā.ī lene lagīñ
meri sari kamai lene lagin
sansen mujh se widai lene lagin
karwaTon se ada nahin hoti
ninden jo munh dikhai lene lagin
KHwab ka pairahan utara to
nangi aankhen jamai lene lagin
chand jaise ho nind ki goli
raaten kya kya dawai lene lagin
mujh ko tufan mein Dubna hi tha
kashtiyan kyun burai lene lagin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.