meri sahar sahar na meri sham sham hai
merī sahar sahar na mirī shaam shaam hai
maiñ vo kitāb huuñ jo abhī nā-tamām hai
duniyā hai ye yahāñ kā ajab intizām hai
ġham ko qiyām hai na ḳhushī ko qiyām hai
thoḌā sā justujū-e-nazar terā kaam hai
jalva kisī kā aam na hone pe aam hai
un kī nazar meñ apnī jagah pā rahe haiñ ham
shāyad isī kā naam fareb-e-tamām hai
jis meñ sharīk hoñ na tirī mehrbāniyāñ
us zindagī ko duur se merā salām hai
piine se qabl hosh kī bāteñ gunāh haiñ
piine ke ba.ad hosh gañvānā harām hai
shak kar rahe haiñ log mire is yaqīn par
insāniyat mohabbat-e-insāñ kā naam hai
jo bhī qadam uThāo vo samjhā huā uThāo
nākām inqalāb baġhāvat kā naam hai
nā-āqebat-shanāsī-e-duniyā to dekhiye
thoḌī sī zindagī kā baḌā ehtimām hai
meri sahar sahar na meri sham sham hai
main wo kitab hun jo abhi na-tamam hai
duniya hai ye yahan ka ajab intizam hai
gham ko qiyam hai na KHushi ko qiyam hai
thoDa sa justuju-e-nazar tera kaam hai
jalwa kisi ka aam na hone pe aam hai
un ki nazar mein apni jagah pa rahe hain hum
shayad isi ka nam fareb-e-tamam hai
jis mein sharik hon na teri mehrbaniyan
us zindagi ko dur se mera salam hai
pine se qabl hosh ki baaten gunah hain
pine ke baad hosh ganwana haram hai
shak kar rahe hain log mere is yaqin par
insaniyat mohabbat-e-insan ka nam hai
jo bhi qadam uThao wo samjha hua uThao
nakaam inqalab baghawat ka nam hai
na-aqebat-shanasi-e-duniya to dekhiye
thoDi si zindagi ka baDa ehtimam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.