meri sham-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai
meri sham-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai
Muneer Shikohabadi
MORE BYMuneer Shikohabadi
merī sham'-e-anjuman meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
daaġh siine ke chaman meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
dāġh-e-dil ko ḳhāksāroñ ke lagāyā tū ne muñh
ġhuncha-e-tañg-e-dahan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
baa'd har din daaġh hai terī kudūrat kā mujhe
sahn-e-dāmān-e-kafan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
yā mukaddar ho ke Duubā hai mirā dil ai parī
yā terī chāh-e-zaqan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
gard-e-ġhurbat se bharī hai mere maskan kī bahār
dāman-e-sub.h-e-vatan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
dāġhdāroñ ne kudūrat se bunā un kā palañg
sumbul-e-mauj-e-rasan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
vahshī-e-gesū ne dāġhā haath uḌaa.e gard-e-ġham
shāḳh-e-āhū-e-ḳhutan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
daaġh chhalle kā sarāpe meñ kudūrat-zā huā
gul-ruḳhoñ naḳhl-e-badan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
ban gayā hai shīsha-e-sā.at magar fānūs-e-sham.a
'aks sho'la kā lagan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
sāgaroñ kī phuul piine se huī miTTī ḳharāb
jām-e-mai bāġh-e-suḳhan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
gard-e-zulmat Daalī laale par ḳhizāñ ne ai falak
chāñd ke badle gahan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
bāloñ meñ chhup kar kiran phuul un kā miTTī ho gayā
afa.ī-e-gesū ke phan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
daaġh de kar malte haiñ ye sham'-rū miTTī kā itr
raḳht-e-ahl-e-anjuman meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
unsur-e-ḳhākī huā barbād ahl-e-dāġh kā
in dinoñ vahshat ke ban meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
zaḳhm-e-sar par Dāltā huuñ un butoñ kī gard-e-rāh
ab kulāh-e-barhaman meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
phuul pī pī kar mukaddar ho rahā hai vo sabīh
dekh lo naḳhl-e-saman meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
hai mukaddar nūr-e-mehr us rashk-e-gul ke hijr meñ
gulshan-e-charḳh-e-kuhan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
mere dil meñ daaġh hai har daaġh meñ hai gard-e-ġham
andalībo is chaman meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
parde meñ hai phuul sā muñh aur muñh pe gard-e-ḳhat
is sahar ke pairahan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
māthe par hai dāġh-e-sajda daaġh meñ gard-e-sujūd
ḳhatt-e-qismat kī shikan meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
gard-e-kulfat laa.e hai fasl-e-bahārī apne saath
shāḳh-e-har-naḳhl-e-chaman meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
kyā kahūñ is misra-e-farmā.ishī meñ ai 'munīr'
hai hiran gul meñ hiran meñ gul hai gul meñ ḳhaak hai
meri sham'-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai
dagh sine ke chaman mein gul hai gul mein KHak hai
dagh-e-dil ko KHaksaron ke lagaya tu ne munh
ghuncha-e-tang-e-dahan mein gul hai gul mein KHak hai
ba'd har din dagh hai teri kudurat ka mujhe
sahn-e-daman-e-kafan mein gul hai gul mein KHak hai
ya mukaddar ho ke Duba hai mera dil ai pari
ya teri chah-e-zaqan mein gul hai gul mein KHak hai
gard-e-ghurbat se bhari hai mere maskan ki bahaar
daman-e-subh-e-watan mein gul hai gul mein KHak hai
daghdaron ne kudurat se buna un ka palang
sumbul-e-mauj-e-rasan mein gul hai gul mein KHak hai
wahshi-e-gesu ne dagha hath uDae gard-e-gham
shaKH-e-ahu-e-KHutan mein gul hai gul mein KHak hai
dagh chhalle ka sarape mein kudurat-za hua
gul-ruKHon naKHl-e-badan mein gul hai gul mein KHak hai
ban gaya hai shisha-e-saat magar fanus-e-shama
'aks sho'la ka lagan mein gul hai gul mein KHak hai
sagaron ki phul pine se hui miTTi KHarab
jam-e-mai bagh-e-suKHan mein gul hai gul mein KHak hai
gard-e-zulmat Dali lale par KHizan ne ai falak
chand ke badle gahan mein gul hai gul mein KHak hai
baalon mein chhup kar kiran phul un ka miTTi ho gaya
afai-e-gesu ke phan mein gul hai gul mein KHak hai
dagh de kar malte hain ye sham'-ru miTTi ka itr
raKHt-e-ahl-e-anjuman mein gul hai gul mein KHak hai
unsur-e-KHaki hua barbaad ahl-e-dagh ka
in dinon wahshat ke ban mein gul hai gul mein KHak hai
zaKHm-e-sar par Dalta hun un buton ki gard-e-rah
ab kulah-e-barhaman mein gul hai gul mein KHak hai
phul pi pi kar mukaddar ho raha hai wo sabih
dekh lo naKHl-e-saman mein gul hai gul mein KHak hai
hai mukaddar nur-e-mehr us rashk-e-gul ke hijr mein
gulshan-e-charKH-e-kuhan mein gul hai gul mein KHak hai
mere dil mein dagh hai har dagh mein hai gard-e-gham
andalibo is chaman mein gul hai gul mein KHak hai
parde mein hai phul sa munh aur munh pe gard-e-KHat
is sahar ke pairahan mein gul hai gul mein KHak hai
mathe par hai dagh-e-sajda dagh mein gard-e-sujud
KHatt-e-qismat ki shikan mein gul hai gul mein KHak hai
gard-e-kulfat lae hai fasl-e-bahaari apne sath
shaKH-e-har-naKHl-e-chaman mein gul hai gul mein KHak hai
kya kahun is misra-e-farmaishi mein ai 'munir'
hai hiran gul mein hiran mein gul hai gul mein KHak hai
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.