meri shikasta zat ka shahtir gir paDe
merī shikasta zaat kā shahtīr gir paḌe
tū jā ki is se pahle ye tā'mīr gir paḌe
itnī bhī be-qarārī munāsib nahīñ hai dost
aise bhī ḳhat na khol ki tahrīr gir paḌe
aatā huuñ yuuñ bahāne se maiñ us ke sāmne
jaise kisī kitāb se tasvīr gir paḌe
qātil kī surḳh āñkhoñ meñ bas dekhte raho
mumkin hai us ke haath se shamshīr gir paḌe
ik roz nā-umīdī hī mujh ko kare rihā
thak kar ḳhud apne paañv se zanjīr gir paḌe
meri shikasta zat ka shahtir gir paDe
tu ja ki is se pahle ye ta'mir gir paDe
itni bhi be-qarari munasib nahin hai dost
aise bhi KHat na khol ki tahrir gir paDe
aata hun yun bahane se main us ke samne
jaise kisi kitab se taswir gir paDe
qatil ki surKH aankhon mein bas dekhte raho
mumkin hai us ke hath se shamshir gir paDe
ek roz na-umidi hi mujh ko kare riha
thak kar KHud apne panw se zanjir gir paDe
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 16)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.