meri soi hui qismat ka sitara jaga
merī soī huī qismat kā sitārā jaagā
yā shab-e-ġham tirī yādoñ kā ujālā jaagā
oḌh kar so ga.e ham hijr kī lambī chādar
jab na imkān tire shām-e-milan kā jaagā
niiñd kī god meñ sar jaise hī maiñ ne rakkhā
be-qarārī kā mirī aañkh meñ sahrā jaagā
man kī jaagī huī ḳhvāhish ko sulāyā jis ne
us ke nirvān kā ek ek darīchā jaagā
hashr meñ mere gunah kyā hue dāmānda-qadam
dast-e-rahmat kā mire sar pe sahārā jaagā
kaam mushkil se bhī mushkil huā āsān bahut
jis ghaḌī paikar-e-ḳhākī meñ irāda jaagā
dar-e-ma.amūl pe sailāb ne dastak kyā dī
aañkh milte hue dariyā kā kinārā jaagā
shab ne ārām kā bistar hī lagāyā thā abhī
yak-ba-yak niiñd se 'maqsūd' saverā jaagā
meri soi hui qismat ka sitara jaga
ya shab-e-gham teri yaadon ka ujala jaga
oDh kar so gae hum hijr ki lambi chadar
jab na imkan tere sham-e-milan ka jaga
nind ki god mein sar jaise hi main ne rakkha
be-qarari ka meri aankh mein sahra jaga
man ki jagi hui KHwahish ko sulaya jis ne
us ke nirwan ka ek ek daricha jaga
hashr mein mere gunah kya hue damanda-qadam
dast-e-rahmat ka mere sar pe sahaara jaga
kaam mushkil se bhi mushkil hua aasan bahut
jis ghaDi paikar-e-KHaki mein irada jaga
dar-e-mamul pe sailab ne dastak kya di
aankh milte hue dariya ka kinara jaga
shab ne aaram ka bistar hi lagaya tha abhi
yak-ba-yak nind se 'maqsud' sawera jaga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.