meri surat ko dekho kuchh na puchho majra mera
merī sūrat ko dekho kuchh na pūchho mājrā merā
ki jo guzrī hai mujh par ḳhuub vāqif hai ḳhudā merā
nishān-e-pā se chaltā hai patā talvoñ ke chhāloñ kā
jamā hai dasht meñ bhī duur tak naqsh-e-vafā merā
qafas meñ ek bīmār-e-mohabbat jaan detā hai
chaman vāloñ se ye paiġhām kah denā sabā merā
merī nākāmī-e-ummīd bhī hai rahm ke qābil
maiñ vo māyūs huuñ uThtā nahīñ dast-e-duā merā
mujhī par aaj paḌtī haiñ nigāheñ ahl-e-mahfil kī
tumhārī bazm meñ aisā jamā rang-e-vafā merā
dil-e-betāb siine meñ taḌap kar un se kahtā hai
tumhārī hasrateñ roke hue haiñ rāsta merā
balā se phir na aana aaj kah do kal ham ā.eñge
isī meñ ḳhairiyat hai tum na toḌo aasrā merā
dam-e-āḳhir jo aa.e haiñ to marne bhī nahīñ dete
mujhe vo yaad dilvāte haiñ paimān-e-vafā merā
use kahnā ḳhudā se kuchh na kuchh kahnā hasīnoñ se
maze kī chiiz hai 'safdar' dil-e-be-mudda.ā merā
meri surat ko dekho kuchh na puchho majra mera
ki jo guzri hai mujh par KHub waqif hai KHuda mera
nishan-e-pa se chalta hai pata talwon ke chhaalon ka
jama hai dasht mein bhi dur tak naqsh-e-wafa mera
qafas mein ek bimar-e-mohabbat jaan deta hai
chaman walon se ye paigham kah dena saba mera
meri nakaami-e-ummid bhi hai rahm ke qabil
main wo mayus hun uThta nahin dast-e-dua mera
mujhi par aaj paDti hain nigahen ahl-e-mahfil ki
tumhaari bazm mein aisa jama rang-e-wafa mera
dil-e-betab sine mein taDap kar un se kahta hai
tumhaari hasraten roke hue hain rasta mera
bala se phir na aana aaj kah do kal hum aaenge
isi mein KHairiyat hai tum na toDo aasra mera
dam-e-aKHir jo aae hain to marne bhi nahin dete
mujhe wo yaad dilwate hain paiman-e-wafa mera
use kahna KHuda se kuchh na kuchh kahna hasinon se
maze ki chiz hai 'safdar' dil-e-be-muddaa mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.