Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri surat ko dekho kuchh na puchho majra mera

Safdar Mirzapuri

meri surat ko dekho kuchh na puchho majra mera

Safdar Mirzapuri

MORE BYSafdar Mirzapuri

    merī sūrat ko dekho kuchh na pūchho mājrā merā

    ki jo guzrī hai mujh par ḳhuub vāqif hai ḳhudā merā

    nishān-e-pā se chaltā hai patā talvoñ ke chhāloñ

    jamā hai dasht meñ bhī duur tak naqsh-e-vafā merā

    qafas meñ ek bīmār-e-mohabbat jaan detā hai

    chaman vāloñ se ye paiġhām kah denā sabā merā

    merī nākāmī-e-ummīd bhī hai rahm ke qābil

    maiñ vo māyūs huuñ uThtā nahīñ dast-e-duā merā

    mujhī par aaj paḌtī haiñ nigāheñ ahl-e-mahfil

    tumhārī bazm meñ aisā jamā rang-e-vafā merā

    dil-e-betāb siine meñ taḌap kar un se kahtā hai

    tumhārī hasrateñ roke hue haiñ rāsta merā

    balā se phir na aanā aaj kah do kal ham ā.eñge

    isī meñ ḳhairiyat hai tum na toḌo aasrā merā

    dam-e-āḳhir jo aa.e haiñ to marne bhī nahīñ dete

    mujhe vo yaad dilvāte haiñ paimān-e-vafā merā

    ise kahnā ḳhudā se kuchh na kuchh kahnā hasīnoñ se

    maze chiiz hai 'safdar' dil-e-be-mudda.ā merā

    meri surat ko dekho kuchh na puchho majra mera

    ki jo guzri hai mujh par KHub waqif hai KHuda mera

    nishan-e-pa se chalta hai pata talwon ke chhaalon ka

    jama hai dasht mein bhi dur tak naqsh-e-wafa mera

    qafas mein ek bimar-e-mohabbat jaan deta hai

    chaman walon se ye paigham kah dena saba mera

    meri nakaami-e-ummid bhi hai rahm ke qabil

    main wo mayus hun uThta nahin dast-e-dua mera

    mujhi par aaj paDti hain nigahen ahl-e-mahfil ki

    tumhaari bazm mein aisa jama rang-e-wafa mera

    dil-e-betab sine mein taDap kar un se kahta hai

    tumhaari hasraten roke hue hain rasta mera

    bala se phir na aana aaj kah do kal hum aaenge

    isi mein KHairiyat hai tum na toDo aasra mera

    dam-e-aKHir jo aae hain to marne bhi nahin dete

    mujhe wo yaad dilwate hain paiman-e-wafa mera

    ise kahna KHuda se kuchh na kuchh kahna hasinon se

    maze ki chiz hai 'safdar' dil-e-be-muddaa mera

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now