meri surat saya-e-diwar-o-dar mein kaun hai
merī sūrat sāya-e-dīvār-o-dar meñ kaun hai
ai junūñ mere sivā ye mere ghar meñ kaun hai
Thiik hai ai zabt-e-ġham! aañsū koī Tapkā nahīñ
par ye dil se aañkh tak paiham safar meñ kaun hai
vo to kab kā apnī manzil par pahuñch kar so chukā
chāñd kyā jaane ki rāh-e-pur-ḳhatar meñ kaun hai
maiñ to us sūrat kā dīvāna huuñ par ai zindagī!
sūrat-e-yak-umr haa.il sañg o sar meñ kaun hai
ḳhaak chhanvātī hai ye rātoñ ko kis kī justujū
chāñdnī kī tarah phailā dasht o dar meñ kaun hai
ek chehra mustaqil ashkoñ ke ā.īne meñ hai
kuchh batā ai umr-e-ġham āḳhir nazar meñ kaun hai
paañv meñ lipTī huī hai sab ke zanjīr-e-anā
sab musāfir haiñ yahāñ lekin safar meñ kaun hai
naġhma-e-jāñ sunñe vaalo ye takalluf tā-ba-kai
Dhā ke ye dīvār bhī dekho ki ghar meñ kaun hai
meri surat saya-e-diwar-o-dar mein kaun hai
ai junun mere siwa ye mere ghar mein kaun hai
Thik hai ai zabt-e-gham! aansu koi Tapka nahin
par ye dil se aankh tak paiham safar mein kaun hai
wo to kab ka apni manzil par pahunch kar so chuka
chand kya jaane ki rah-e-pur-KHatar mein kaun hai
main to us surat ka diwana hun par ai zindagi!
surat-e-yak-umr hail sang o sar mein kaun hai
KHak chhanwati hai ye raaton ko kis ki justuju
chandni ki tarah phaila dasht o dar mein kaun hai
ek chehra mustaqil ashkon ke aaine mein hai
kuchh bata ai umr-e-gham aaKHir nazar mein kaun hai
panw mein lipTi hui hai sab ke zanjir-e-ana
sab musafir hain yahan lekin safar mein kaun hai
naghma-e-jaan sunne walo ye takalluf ta-ba-kai
Dha ke ye diwar bhi dekho ki ghar mein kaun hai
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.