Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri surat se wo anjaan bhi ho sakta hai

Faisal Imam Rizvi

meri surat se wo anjaan bhi ho sakta hai

Faisal Imam Rizvi

MORE BYFaisal Imam Rizvi

    merī sūrat se vo anjān bhī ho saktā hai

    mere milne se vo hairān bhī ho saktā hai

    tum to har baat meñ DhūñDo ho munāfa lekin

    is mohabbat meñ to nuqsān bhī ho saktā hai

    muskurāte hue phūloñ nazākat pe na

    koī andar se pareshān bhī ho saktā hai

    bevafā jis ko sar-e-bazm kahe jaate ho

    vo tire ishq meñ qurbān bhī ho saktā hai

    aaj jis shaḳhs ke shikve haiñ tire hoñToñ par

    kal yahī shaḳhs tirī jaan bhī ho saktā hai

    ye zarūrī to nahīñ ishq ho dillī meñ faqat

    shahr-e-mahbūb to multān bhī ho saktā hai

    dekho uljho nahīñ darvesh se hargiz logo

    varna phir shahr ye vīrān bhī ho saktā hai

    ab jo pahne hue guzrā hai faqīroñ libās

    ye ga.e vaqt sultān bhī ho saktā hai

    tum jise daar pe le aa.e ho kāfir kah kar

    ye to bechāra musalmān bhī ho saktā hai

    hai jo ġhunchoñ se bharā aap gulshan 'faisal'

    ishq meñ ye to bayābān bhī ho saktā hai

    meri surat se wo anjaan bhi ho sakta hai

    mere milne se wo hairan bhi ho sakta hai

    tum to har baat mein DhunDo ho munafa lekin

    is mohabbat mein to nuqsan bhi ho sakta hai

    muskuraate hue phulon ki nazakat pe na ja

    koi andar se pareshan bhi ho sakta hai

    bewafa jis ko sar-e-bazm kahe jate ho

    wo tere ishq mein qurban bhi ho sakta hai

    aaj jis shaKHs ke shikwe hain tere honTon par

    kal yahi shaKHs teri jaan bhi ho sakta hai

    ye zaruri to nahin ishq ho dilli mein faqat

    shahr-e-mahbub to multan bhi ho sakta hai

    dekho uljho nahin darwesh se hargiz logo

    warna phir shahr ye viran bhi ho sakta hai

    ab jo pahne hue guzra hai faqiron sa libas

    ye gae waqt ka sultan bhi ho sakta hai

    tum jise dar pe le aae ho kafir kah kar

    ye to bechaara musalman bhi ho sakta hai

    hai jo ghunchon se bhara aap ka gulshan 'faisal'

    ishq mein ye to bayaban bhi ho sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now