meri talwar ka ab is pe asar lagta hai
merī talvār kā ab is pe asar lagtā hai
baat karte hue ab mujh pe nazar rakhtā hai
sirf bātoñ se riyāsat ye sañvar saktī nahīñ
muḳhtasar baat miyāñ ḳhūn-e-jigar lagtā hai
mujh ko us qaum ke shāhoñ se koī ḳhauf nahīñ
mujh ko us qaum ke kirdār se Dar lagtā hai
jis bulandī pe huā ibn-e-alī taḳht-nashīñ
vahāñ sarmāya nahīñ dosto sar lagtā hai
maiñ musāfir huuñ bulandī se kabhī utrā thā
ye jahāñ merā nahīñ jism kā ghar lagtā hai
meri talwar ka ab is pe asar lagta hai
baat karte hue ab mujh pe nazar rakhta hai
sirf baaton se riyasat ye sanwar sakti nahin
muKHtasar baat miyan KHun-e-jigar lagta hai
mujh ko us qaum ke shahon se koi KHauf nahin
mujh ko us qaum ke kirdar se Dar lagta hai
jis bulandi pe hua ibn-e-ali taKHt-nashin
wahan sarmaya nahin dosto sar lagta hai
main musafir hun bulandi se kabhi utra tha
ye jahan mera nahin jism ka ghar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.