meri taqdir ko kuchh aur nikhar jaane de
meri taqdir ko kuchh aur nikhar jaane de
Asad Ahmad Mujaddadi Asad
MORE BYAsad Ahmad Mujaddadi Asad
merī taqdīr ko kuchh aur nikhar jaane de
Thahr ai kātib-e-taqdīr sañvar jaane de
dam to le gardish-e-ayyām sitam kyoñ itnā
manzil-e-ishq ko bas paar to kar jaane de
dekhne vāloñ pe pābandī-e-dīdār hai kyoñ
ruḳh-e-mahtāb-numā tak to nazar jaane de
ashk āñkhoñ se nikalne ko machalte haiñ mire
chashm-e-mahzūñ ke ye motī haiñ bikhar jaane de
kaalī badlī meñ nazar aane de mahtāb zarā
zulf-e-pur-pech se shānoñ ko sañvar jaane de
zaḳhm gahre abhī khāne kī hai tāqat baaqī
tiir jitne haiñ pa-e-qalb-o-jigar jaane de
shab-e-tārīk meñ muddat se bhaTaktā hai 'asad'
yak qadam us ko zarā sū-e-sahar jaane de
meri taqdir ko kuchh aur nikhar jaane de
Thahr ai katib-e-taqdir sanwar jaane de
dam to le gardish-e-ayyam sitam kyon itna
manzil-e-ishq ko bas par to kar jaane de
dekhne walon pe pabandi-e-didar hai kyon
ruKH-e-mahtab-numa tak to nazar jaane de
ashk aankhon se nikalne ko machalte hain mere
chashm-e-mahzun ke ye moti hain bikhar jaane de
kali badli mein nazar aane de mahtab zara
zulf-e-pur-pech se shanon ko sanwar jaane de
zaKHm gahre abhi khane ki hai taqat baqi
tir jitne hain pa-e-qalb-o-jigar jaane de
shab-e-tarik mein muddat se bhaTakta hai 'asad'
yak qadam us ko zara su-e-sahar jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.