meri taqdir mein jalna hai to jal jaunga
merī taqdīr meñ jalnā hai to jal jā.ūñgā
terā va.ada to nahīñ huuñ ki badal jā.ūñgā
rahm aaya na agar tujh ko to ik din maiñ bhī
sar ko rakh kar tire qadmoñ pe machal jā.ūñgā
dard ghabrā ke ye kahtā hai shab-e-furqat meñ
aah ban kar tire pahlū se nikal jā.ūñgā
soz-bhar do mire siine meñ ġham-e-ulfat kā
maiñ koī mom nahīñ huuñ jo pighal jā.ūñgā
mujh ko samjhāo na 'sāhir' ki maiñ ik din ḳhud hī
Thokareñ khā ke mohabbat meñ sañbhal jā.ūñgā
meri taqdir mein jalna hai to jal jaunga
tera wada to nahin hun ki badal jaunga
rahm aaya na agar tujh ko to ek din main bhi
sar ko rakh kar tere qadmon pe machal jaunga
dard ghabra ke ye kahta hai shab-e-furqat mein
aah ban kar tere pahlu se nikal jaunga
soz-bhar do mere sine mein gham-e-ulfat ka
main koi mom nahin hun jo pighal jaunga
mujh ko samjhao na 'sahir' ki main ek din KHud hi
Thokaren kha ke mohabbat mein sanbhal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.