meri thoDi aankh lagi to jaane kya kya bandh liya
merī thoḌī aañkh lagī to jaane kyā kyā bāñdh liyā
jādūgar ne ik rūmāl meñ puurā sahrā bāñdh liyā
āḳhir meñ ḳhairāt baTī to saare guttham-gutthā the
maiñ ne pīchhe baiThe baiThe jo dil chāhā bāñdh liyā
ye jo yaar mayassar hai naañ saarā merā apnā na.iñ
sāvan kā ye matlab na.iñ ki jo kuchh barsā bāñdh liyā
manzar hī kuchh aisā thā ki lālach karnā bantā thā
aadhā dekh ke raqs kiyā aur baaqī aadhā bāñdh liyā
ek karishma ye bhī hai ki us kī mast nigāhoñ ne
jab dil chāhā aañkh dikhā kar chaltā dariyā bāñdh liyā
meri thoDi aankh lagi to jaane kya kya bandh liya
jadugar ne ek rumal mein pura sahra bandh liya
aaKHir mein KHairaat baTi to sare guttham-guttha the
main ne pichhe baiThe baiThe jo dil chaha bandh liya
ye jo yar mayassar hai nan sara mera apna nain
sawan ka ye matlab nain ki jo kuchh barsa bandh liya
manzar hi kuchh aisa tha ki lalach karna banta tha
aadha dekh ke raqs kiya aur baqi aadha bandh liya
ek karishma ye bhi hai ki us ki mast nigahon ne
jab dil chaha aankh dikha kar chalta dariya bandh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.