meri ungli ki anguThi mein lagi patthar ki aankh
merī uñglī kī añgūThī meñ lagī patthar kī aañkh
aur darīchoñ meñ simaT aa.ī mohalle-bhar kī aañkh
maiñ to paglī thī mujhe to thā hī rangoñ kā junūñ
qasr meñ us shaḳhs ke chuñdhyā.ī thī aksar kī aañkh
is shab-e-ḳhud-āgahī meñ aa.ine bolā kiye
jaise pathrāne lagī ḳhud mere hī andar kī aañkh
ham use apne liye mahdūd samjhe the magar
ab khulā is chāñd par 'arse se thī ghar ghar kī aañkh
sādgī meñ ham 'humairā' jaane kyā kyā kah ga.e
kis qadar āhistagī se hañs paḌī patthar kī aañkh
meri ungli ki anguThi mein lagi patthar ki aankh
aur darichon mein simaT aai mohalle-bhar ki aankh
main to pagli thi mujhe to tha hi rangon ka junun
qasr mein us shaKHs ke chundhyai thi aksar ki aankh
is shab-e-KHud-agahi mein aaine bola kiye
jaise pathrane lagi KHud mere hi andar ki aankh
hum use apne liye mahdud samjhe the magar
ab khula is chand par 'arse se thi ghar ghar ki aankh
sadgi mein hum 'humaira' jaane kya kya kah gae
kis qadar aahistagi se hans paDi patthar ki aankh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.