meri wafa muqim hai gard-o-ghubar mein
merī vafā muqīm hai gard-o-ġhubār meñ
āhista chalnā bād-e-sabā kū-e-yār meñ
ham haiñ fareb-ḳhurda magar be-ḳhabar nahīñ
mafhūm-e-zindagī hai faqat e.atibār meñ
roTī to rishta ban na sakī koī des ho
aisī mohabbateñ to haiñ apne dayār meñ
har shaḳhs muztarib hai har-ik shaḳhs be-qarār
hāsil sukūñ tavakkul-e-parvardigār meñ
sach kah ke kyā gunāh kiyā sochte haiñ ab
rishte tamām qat.a hue ek baar meñ
meri wafa muqim hai gard-o-ghubar mein
aahista chalna baad-e-saba ku-e-yar mein
hum hain fareb-KHurda magar be-KHabar nahin
mafhum-e-zindagi hai faqat eatibar mein
roTi to rishta ban na saki koi des ho
aisi mohabbaten to hain apne dayar mein
har shaKHs muztarib hai har-ik shaKHs be-qarar
hasil sukun tawakkul-e-parwardigar mein
sach kah ke kya gunah kiya sochte hain ab
rishte tamam qata hue ek bar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.