meri wahshat ka tere shahr mein charcha hoga
merī vahshat kā tire shahr meñ charchā hogā
ab mujhe dekh ke shāyad tujhe dhokā hogā
saaf rasta hai chale aao sū-e-dīda-o-dil
aql kī raah se aaoge to pherā hogā
kaun samjhegā bhalā husn-e-gurezāñ kī adā
mere iisā ne mirā haal na pūchhā hogā
vaj.h-e-be-rañgī-e-har-shām-o-sahar kyā hogī
maiñ ne shāyad tujhe har rañg meñ dekhā hogā
ab kahīñ tū hī Dubove hameñ ai mauj-e-sarāb
varna phir shikva-e-pāyābi-e-dariyā hogā
koī tadbīr batā ai dil-e-āzār-pasand
us ko jī-jāñ se bhulāne meñ to arsa hogā
husn kī ḳhalvat-e-sāda bhī hai sad-bazm-tarāz
ishq mahfil meñ bhī hogā to akelā hogā
jhuTpuTā chhāyā hai kaun aayā hai darvāze par
dekhnā 'shāz' koī sub.h kā bhūlā hogā
meri wahshat ka tere shahr mein charcha hoga
ab mujhe dekh ke shayad tujhe dhoka hoga
saf rasta hai chale aao su-e-dida-o-dil
aql ki rah se aaoge to phera hoga
kaun samjhega bhala husn-e-gurezan ki ada
mere isa ne mera haal na puchha hoga
wajh-e-be-rangi-e-har-sham-o-sahar kya hogi
main ne shayad tujhe har rang mein dekha hoga
ab kahin tu hi Dubowe hamein ai mauj-e-sarab
warna phir shikwa-e-payabi-e-dariya hoga
koi tadbir bata ai dil-e-azar-pasand
us ko ji-jaan se bhulane mein to arsa hoga
husn ki KHalwat-e-sada bhi hai sad-bazm-taraaz
ishq mahfil mein bhi hoga to akela hoga
jhuTpuTa chhaya hai kaun aaya hai darwaze par
dekhna 'shaz' koi subh ka bhula hoga
- Book : Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.