meri wahshat mujhse puchhegi to batlaunga main
merī vahshat mujh se pūchhegī to batlā.ūñgā maiñ
svāñg jo tum ne sikhā.e vo bhī dikhlā.ūñgā maiñ
kis ne dīvāna banāyā naam batlā.ūñgā maiñ
dasht-o-dariyā se bhī aage baat phailāuñgā maiñ
ḳhvāb tum dikhlāoge to ḳhvāb dikhlā.ūñgā maiñ
donoñ jānib ḳhvāb ke parcham bhī lahrā.ūñgā maiñ
nā-rasā.ī kā koī shikva nahīñ shikva ye hai
kyā ḳhayāl-e-ḳhām hī se dil ko bahlā.ūñgā maiñ
ai shab-e-furqat tumheñ mujh se shikāyat to nahīñ
gar chale jāoge tum bhī kitnā ghabrā.ūñgā maiñ
ik sumūm-e-gard-āsā chal rahī hai chār-sū
chār-sū bārish liye tum dekhnā ā.ūñgā maiñ
ik añdherā chaar jānib bārishoñ ke darmiyāñ
bārishoñ ke darmiyāñ sho.ala-sā lahrā.ūñgā maiñ
paañv haiñ āmāda-e-sair-o-safar manzil-ba-dast
kyā tumheñ lagtā hai ab bhī lauT kar ā.ūñgā maiñ
rāste masdūd jab ho jā.eñge ḳhatm-e-safar
āḳhirī patthar pe apnā naam likhvāūñgā maiñ
raftagāñ ā.indagāñ ke darmiyāñ kyā rabt hai
'mīr' sāhib se ye pūchhūñgā to batlā.ūñgā maiñ
meri wahshat mujh se puchhegi to batlaunga main
swang jo tum ne sikhae wo bhi dikhlaunga main
kis ne diwana banaya nam batlaunga main
dasht-o-dariya se bhi aage baat phailaunga main
KHwab tum dikhlaoge to KHwab dikhlaunga main
donon jaanib KHwab ke parcham bhi lahraunga main
na-rasai ka koi shikwa nahin shikwa ye hai
kya KHayal-e-KHam hi se dil ko bahlaunga main
ai shab-e-furqat tumhein mujh se shikayat to nahin
gar chale jaoge tum bhi kitna ghabraunga main
ek sumum-e-gard-asa chal rahi hai chaar-su
chaar-su barish liye tum dekhna aaunga main
ek andhera chaar jaanib barishon ke darmiyan
barishon ke darmiyan shoala-sa lahraunga main
panw hain aamada-e-sair-o-safar manzil-ba-dast
kya tumhein lagta hai ab bhi lauT kar aaunga main
raste masdud jab ho jaenge KHatm-e-safar
aaKHiri patthar pe apna nam likhwaunga main
raftagan aaindagan ke darmiyan kya rabt hai
'mir' sahib se ye puchhunga to batlaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.