mez chehra kitab tanhai
mez chehra kitāb tanhā.ī
ban na jaa.e azaab tanhā.ī
kar rahe the savāl sannāTe
de rahī thī javāb tanhā.ī
aañkh se TuuT kar gire aañsū
ho ga.ī be-naqāb tanhā.ī
vasl ke ek ek lamhe kā
māñgtī hai hisāb tanhā.ī
āhaToñ ko bhī qatl kar degī
duur tak kāmyāb tanhā.ī
chand be-chehra sā.atoñ kā 'salīm'
sah rahī hai azaab tanhā.ī
mez chehra kitab tanhai
ban na jae azab tanhai
kar rahe the sawal sannaTe
de rahi thi jawab tanhai
aankh se TuT kar gire aansu
ho gai be-naqab tanhai
wasl ke ek ek lamhe ka
mangti hai hisab tanhai
aahaTon ko bhi qatl kar degi
dur tak kaamyab tanhai
chand be-chehra saaton ka 'salim'
sah rahi hai azab tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.