Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miad-e-qaid-e-ranj baDha di gai to kya

Muhib Wafa

miad-e-qaid-e-ranj baDha di gai to kya

Muhib Wafa

MORE BYMuhib Wafa

    mī.ād-e-qaid-e-rañj baḌhā ga.ī to kyā

    jurm-e-vafā ham ko sazā ga.ī to kyā

    ik bahr-e-be-karāñ to hai āñkhoñ meñ maujzan

    ik mauj tere ġham meñ bahā ga.ī to kyā

    is pesha-e-junūñ meñ luTāne ko thā kyā

    ik umr thī so tujh pe luTā ga.ī to kyā

    is ahd-e-bevafā meñ jo mīsāq-e-ishq se

    ik shart-e-e'tibār uThā ga.ī to kyā

    shab-hā-e-intizār derīna sarguzisht

    ik pal meñ tujh se mil ke bhulā ga.ī to kyā

    miad-e-qaid-e-ranj baDha di gai to kya

    jurm-e-wafa ki hum ko saza di gai to kya

    ek bahr-e-be-karan to hai aankhon mein maujzan

    ek mauj tere gham mein baha di gai to kya

    is pesha-e-junun mein luTane ko tha hi kya

    ek umr thi so tujh pe luTa di gai to kya

    is ahd-e-bewafa mein jo misaq-e-ishq se

    ek shart-e-e'tibar uTha di gai to kya

    shab-ha-e-intizar ki derina sarguzisht

    ek pal mein tujh se mil ke bhula di gai to kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now