mir-ji se agar iradat hai
Interesting Fact
Matla refers to one of Naasikh's famous couplets " shubh 'naasiKH' nahii.n kuchh 'miir' kii ustaadii me.n aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'miir' nahii.n "
'mīr'-jī se agar irādat hai
qaul-e-'nāsiḳh' kī kyā zarūrat hai
kaun pūchhe ye 'mīr'-sāhib se
in dinoñ kyā junūñ kī sūrat hai
chāñd kis mah-jabīñ kā partav hai
raat kis zulf kī hikāyat hai
kyā havā-e-bahār taaza hai
kyā charāġh-e-sarā.e ibrat hai
zindagī kis shajar kā saaya hai
maut kis dasht kī masāfat hai
aag meñ kyā gul-e-ma.ānī haiñ
ḳhaak meñ kyā numū kī sūrat hai
kyā pas-e-parda-e-tavahhum hai
kyā sar-e-parda-e-haqīqat hai
is kahānī kā markazī kirdār
aadmī hai ki ādamiyyat hai
kāTtā huuñ pahāḌ se din raat
mas.ala ishq hai ki ujrat hai
phir mohabbat kā falsafa kyā hai
ye agar sab lahū kī vahshat hai
ek to jāñ-gusil hai tanhā.ī
is pe ham-sā.egī qayāmat hai
aur jaise use nahīñ ma.alūm
shahr meñ kyā hamārī izzat hai
us ne kaise samajh liyā ki mujhe
ḳhvāb meñ jāgne kī aadat hai
ghar se shāyad nikal paḌe vo bhī
aaj kuchh dhuup meñ tamāzat hai
ham yūñhī mubtalā se rahte haiñ
yā kisī aañkh kī muravvat hai
'mīr' bole suno 'rasā' mirzā
ishq to aaj bhī sadāqat hai
is jahān-e-buland-o-past ke biich
kuchh agar hai to apnā qāmat hai
'mir'-ji se agar iradat hai
qaul-e-'nasiKH' ki kya zarurat hai
kaun puchhe ye 'mir'-sahib se
in dinon kya junun ki surat hai
chand kis mah-jabin ka partaw hai
raat kis zulf ki hikayat hai
kya hawa-e-bahaar taza hai
kya charagh-e-sarae ibrat hai
zindagi kis shajar ka saya hai
maut kis dasht ki masafat hai
aag mein kya gul-e-maani hain
KHak mein kya numu ki surat hai
kya pas-e-parda-e-tawahhum hai
kya sar-e-parda-e-haqiqat hai
is kahani ka markazi kirdar
aadmi hai ki aadamiyyat hai
kaTta hun pahaD se din raat
masala ishq hai ki ujrat hai
phir mohabbat ka falsafa kya hai
ye agar sab lahu ki wahshat hai
ek to jaan-gusil hai tanhai
is pe ham-saegi qayamat hai
aur jaise use nahin malum
shahr mein kya hamari izzat hai
us ne kaise samajh liya ki mujhe
KHwab mein jagne ki aadat hai
ghar se shayad nikal paDe wo bhi
aaj kuchh dhup mein tamazat hai
hum yunhi mubtala se rahte hain
ya kisi aankh ki murawwat hai
'mir' bole suno 'rasa' mirza
ishq to aaj bhi sadaqat hai
is jahan-e-buland-o-past ke bich
kuchh agar hai to apna qamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.