mir kya chiz hai sauda kya hai
'mīr' kyā chiiz hai 'saudā' kyā hai
mujh ko in logoñ kī parvā kyā hai
ye agar arse meñ aa.e ziiñ pesh
dekh tū merā bhī shohra kyā hai
ai sabā sham-e-sahar ko na satā
ab bujhī jaa.e hai arsa kyā hai
gar kiyā qatl kisī ko to kyā
chalo is baat kā charchā kyā hai
ek din us ke maiñ dar tak jo gayā
ye samajh dekhūñ to hotā kyā hai
the ka.ī shaḳhs baham harf-zanāñ
maiñ kahā un se ye ġhauġhā kyā hai
sun ke vaañ se jo nikal aayā ek
vo mujhe dekh ke kahtā kyā hai
aap jo der se is jā haiñ khaḌe
ye kaheñ aap ne bechā kyā hai
mil ga.e ḳhaak meñ ham ab to kah
'mus.hafī' terī tamannā kyā hai
'mir' kya chiz hai 'sauda' kya hai
mujh ko in logon ki parwa kya hai
ye agar arse mein aae zin pesh
dekh tu mera bhi shohra kya hai
ai saba sham-e-sahar ko na sata
ab bujhi jae hai arsa kya hai
gar kiya qatl kisi ko to kya
chalo is baat ka charcha kya hai
ek din us ke main dar tak jo gaya
ye samajh dekhun to hota kya hai
the kai shaKHs baham harf-zanan
main kaha un se ye ghaugha kya hai
sun ke wan se jo nikal aaya ek
wo mujhe dekh ke kahta kya hai
aap jo der se is ja hain khaDe
ye kahen aap ne becha kya hai
mil gae KHak mein hum ab to kah
'mushafi' teri tamanna kya hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 260)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.