miras-e-be-baha bhi bachai na ja saki
mīrās-e-be-bahā bhī bachā.ī na jā sakī
ik zillat-e-vafā thī uThā.ī na jā sakī
vādoñ kī raat aisī ghanī thī siyāh thī
qindīl-e-e'tibār bujhā.ī na jā sakī
chāhā thā tum pe vāreñge lafzoñ kī kā.enāt
ye daulat-e-suḳhan bhī kamā.ī na jā sakī
vo sahar thā ki rañg bhī be-rañg the tamām
tasvīr-e-yār ham se banā.ī na jā sakī
ham madrasān-e-ishq ke vo honhār tifl
ham se kitāb-e-aql uThā.ī na jā sakī
vo thartharī thī jān-e-suḳhan tere rū-ba-rū
tujh par kahī ġhazal bhī sunā.ī na jā sakī
miras-e-be-baha bhi bachai na ja saki
ek zillat-e-wafa thi uThai na ja saki
wadon ki raat aisi ghani thi siyah thi
qindil-e-e'tibar bujhai na ja saki
chaha tha tum pe warenge lafzon ki kaenat
ye daulat-e-suKHan bhi kamai na ja saki
wo sahar tha ki rang bhi be-rang the tamam
taswir-e-yar hum se banai na ja saki
hum madrasan-e-ishq ke wo honhaar tifl
hum se kitab-e-aql uThai na ja saki
wo tharthari thi jaan-e-suKHan tere ru-ba-ru
tujh par kahi ghazal bhi sunai na ja saki
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 22)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.