miThe chashmon se KHunuk chhanw se dur
mīThe chashmoñ se ḳhunuk chhāñv se duur
zaḳhm khulte haiñ tire gaañv se duur
sañg-e-manzil ne lahū uglā hai
duur ham bādiya-paimāoñ se duur
kitnī sham.eñ haiñ asīr-e-fānūs
kitne yūsuf haiñ zuleḳhāoñ se duur
kisht-e-ummīd sulagtī hī rahī
abr barsā bhī to sahrāoñ se duur
jaur-e-hālāt bhalā ho terā
chain miltā hai shanāsāoñ se duur
jannat-e-fikr bulātī hai chalo
dair-o-ka.aba se kalīsāoñ se duur
raqs-e-āshuftā-sarāñ dekheñge
duur in anjuman-ārāoñ se duur
justujū hai dur-e-yaktā kī 'shakeb'
sīpiyāñ chunte haiñ dariyāoñ se duur
miThe chashmon se KHunuk chhanw se dur
zaKHm khulte hain tere ganw se dur
sang-e-manzil ne lahu ugla hai
dur hum baadiya-paimaon se dur
kitni shamen hain asir-e-fanus
kitne yusuf hain zuleKHaon se dur
kisht-e-ummid sulagti hi rahi
abr barsa bhi to sahraon se dur
jaur-e-haalat bhala ho tera
chain milta hai shanasaon se dur
jannat-e-fikr bulati hai chalo
dair-o-kaba se kalisaon se dur
raqs-e-ashufta-saran dekhenge
dur in anjuman-araon se dur
justuju hai dur-e-yakta ki 'shakeb'
sipiyan chunte hain dariyaon se dur
- Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 181)
- Author : Mohd Nasir Khan
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.