miThe hote hain sare samar pyar ke
mīThe hote haiñ saare samar pyaar ke
aao mil kar lagā.eñ shajar pyaar ke
phuuT Daale koī in meñ mumkin nahīñ
haiñ ye rishte baḌe mo'atabar pyaar ke
jalva-gar haiñ mohabbat kī ra.anā.iyāñ
koī jā kar to dekhe nagar pyaar ke
par katarne ko jin ke baḌhīñ qaiñchiyāñ
vo kabūtar bane nāma-bar pyaar ke
yaad un kī diloñ meñ basā.e chalo
haiñ ye lamhe bahut muḳhtasar pyaar ke
yuuñ hī chalte raheñ pyaar ke qāfile
yūñhī milte raheñ ham-safar pyaar ke
ab ho dahshat-pasandī meñ gāñdhī-girī
bam gireñ har jagah par magar pyaar ke
āsmān-e-mohabbat pe uḌtā phirūñ
mujh ko 'parvāz' lag jaa.eñ par pyaar ke
miThe hote hain sare samar pyar ke
aao mil kar lagaen shajar pyar ke
phuT Dale koi in mein mumkin nahin
hain ye rishte baDe mo'atabar pyar ke
jalwa-gar hain mohabbat ki ranaiyan
koi ja kar to dekhe nagar pyar ke
par katarne ko jin ke baDhin qainchiyan
wo kabutar bane nama-bar pyar ke
yaad un ki dilon mein basae chalo
hain ye lamhe bahut muKHtasar pyar ke
yun hi chalte rahen pyar ke qafile
yunhi milte rahen ham-safar pyar ke
ab ho dahshat-pasandi mein gandhi-giri
bam giren har jagah par magar pyar ke
aasman-e-mohabbat pe uDta phirun
mujh ko 'parwaz' lag jaen par pyar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.