miThi dhun mein ga ke hamein bulata hai is mandir mein
mīThī dhun meñ gā ke hameñ bulātā hai is mandir meñ
kaun bhagat ye sub.h-savere aatā hai is mandir meñ
pyāsī devī maañg rahī hai rakt kā pyālā bhagtoñ se
dekheñ ab ke kaun sūrmā jaatā hai is mandir meñ
ūñche aasan baiThne vaalā ūñchī padvī paatā hai
gire huoñ ko pagle kaun uThātā hai is mandir meñ
yahāñ to sab bahre baste haiñ devtā hoñ yā bhagat mahant
kis ko apne dil kā dard sunātā hai is mandir meñ
patthar ne kab kis ko dī hai man-chāhī bhikshā batlā
kis ke aage haath apne phailātā hai is mandir meñ
kaun yahāñ aatā hai varna sub.h ko uTh kar jaldī meñ
hameñ to bas ik but kā ruup lubhātā hai is mandir meñ
kaun sunegā tere dukh ko harī harī ke kirtan meñ
kah kar kyoñ tū apnī baat gañvātā hai is mandir meñ
yahī samajhtā hai ki ab bhagvān usī ke bas meñ haiñ
jo bhī māthe tilak lagā kar aatā hai is mandir meñ
vo jo khoyā sā rahtā hai naam hai jis kā 'pāshī' jī
kyā vo ab bhī shām-savere aatā hai is mandir meñ
miThi dhun mein ga ke hamein bulata hai is mandir mein
kaun bhagat ye subh-sawere aata hai is mandir mein
pyasi dewi mang rahi hai rakt ka pyala bhagton se
dekhen ab ke kaun surma jata hai is mandir mein
unche aasan baiThne wala unchi padwi pata hai
gire huon ko pagle kaun uThata hai is mandir mein
yahan to sab bahre baste hain dewta hon ya bhagat mahant
kis ko apne dil ka dard sunata hai is mandir mein
patthar ne kab kis ko di hai man-chahi bhiksha batla
kis ke aage hath apne phailata hai is mandir mein
kaun yahan aata hai warna subh ko uTh kar jaldi mein
hamein to bas ek but ka rup lubhata hai is mandir mein
kaun sunega tere dukh ko hari hari ke kirtan mein
kah kar kyon tu apni baat ganwata hai is mandir mein
yahi samajhta hai ki ab bhagwan usi ke bas mein hain
jo bhi mathe tilak laga kar aata hai is mandir mein
wo jo khoya sa rahta hai nam hai jis ka 'pashi' ji
kya wo ab bhi sham-sawere aata hai is mandir mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.