mil baiThne ke sare qarinon ki KHair ho
mil baiThne ke saare qarīnoñ kī ḳhair ho
is kārvāñ-sarā ke makīnoñ kī ḳhair ho
Thahrāv pāniyoñ meñ hai kitnā ajiib sā
dariyā ke ḳhush-ḳhirām safīnoñ kī ḳhair ho
har ḳhvāb ke safar meñ mire paañv ke tale
aa kar khisakne vaalī zamīnoñ kī ḳhair ho
kar ek lamha sukh kā mire roz-o-shab ko daan
tere tamām saal mahīnoñ kī ḳhair ho
dam se unhī ke apne dar-o-bām haiñ buland
mere vatan ke ḳhāk-nashīnoñ kī ḳhair ho
mil baiThne ke sare qarinon ki KHair ho
is karwan-sara ke makinon ki KHair ho
Thahraw paniyon mein hai kitna ajib sa
dariya ke KHush-KHiram safinon ki KHair ho
har KHwab ke safar mein mere panw ke tale
aa kar khisakne wali zaminon ki KHair ho
kar ek lamha sukh ka mere roz-o-shab ko dan
tere tamam sal mahinon ki KHair ho
dam se unhi ke apne dar-o-baam hain buland
mere watan ke KHak-nashinon ki KHair ho
- Book : Shab Zaad (Pg. 67)
- Author : Shabnam Shakeel
- Publication : Mavaraa Publications (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.