mil chuka mahfil mein ab lutf-e-shakebai mujhe
Interesting Fact
Mushaira at Dav School Allahabad- 23 Feb 1930
mil chukā mahfil meñ ab lutf-e-shakebā.ī mujhe
khīñchtī hai apnī jānib terī añgḌā.ī mujhe
ba.ad marne ke jo hāsil hogī rusvā.ī mujhe
zindagī kyā soch kar duniyā meñ tū laa.ī mujhe
ishq meñ yuuñ husn kī sūrat nazar aa.ī mujhe
vo tamāsha ban ga.e kah kar tamāshā.ī mujhe
ḳhud pukār uThtā junūñ takmīl-e-vahshat ho ga.ī
vo samajh lete jo dil meñ apnā saudā.ī mujhe
ho gayā kohrām barpā ḳhāna-e-sayyād meñ
baiThe baiThe āshiyāñ kī yaad jab aa.ī mujhe
kal thā maiñ ka.abe meñ maujūd aaj but-ḳhāne meñ huuñ
chain detā hī nahīñ shauq jabīñ-sā.ī mujhe
aa.ina bhī thā koī kyā zindagī kā aa.ina
dekhne par maut kī sūrat nazar aa.ī mujhe
zindagī kī kashmakash se dast-kash honā paḌā
naza.a meñ yaad aa ga.ī jab un kī añgḌā.ī mujhe
khul ga.ī chashm-e-basīrat ḳhaak meñ milne ke ba.ad
dil ke har zarre meñ ik duniyā nazar aa.ī mujhe
hazrat-e-'bismil' ye achchhī dil ko sūjhī dil-lagī
kar diyā shamshīr-e-qātil kā tamannā.ī mujhe
mil chuka mahfil mein ab lutf-e-shakebai mujhe
khinchti hai apni jaanib teri angDai mujhe
baad marne ke jo hasil hogi ruswai mujhe
zindagi kya soch kar duniya mein tu lai mujhe
ishq mein yun husn ki surat nazar aai mujhe
wo tamasha ban gae kah kar tamashai mujhe
KHud pukar uThta junun takmil-e-wahshat ho gai
wo samajh lete jo dil mein apna saudai mujhe
ho gaya kohram barpa KHana-e-sayyaad mein
baiThe baiThe aashiyan ki yaad jab aai mujhe
kal tha main kabe mein maujud aaj but-KHane mein hun
chain deta hi nahin shauq jabin-sai mujhe
aaina bhi tha koi kya zindagi ka aaina
dekhne par maut ki surat nazar aai mujhe
zindagi ki kashmakash se dast-kash hona paDa
naza mein yaad aa gai jab un ki angDai mujhe
khul gai chashm-e-basirat KHak mein milne ke baad
dil ke har zarre mein ek duniya nazar aai mujhe
hazrat-e-'bismil' ye achchhi dil ko sujhi dil-lagi
kar diya shamshir-e-qatil ka tamannai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.