mil chuke hain gulab se pahle
mil chuke haiñ gulāb se pahle
aap ke intiḳhāb se pahle
ham tirā e'tibār kar leñge
mutma.in huuñ javāb se pahle
muntazir niiñd kah rahī hai ye
duur huuñ iztirāb se pahle
pyaar kā bhī sabaq zarūrī hai
ilm kī har kitāb se pahle
thaam leñ haath daf.atan un kā
pūchhnā kyā janāb se pahle
aap meñ bhī nasha kahāñ kam hai
kaash aate sharāb se pahle
tab kahīñ vo jhalak dikhā.egā
paak ho leñ savāb se pahle
jāvedāñ kaun hai zamāne meñ
pūchh leñ ye habāb se pahle
ai ḳhudā baḳhsh de hameñ jannat
dasht sahrā sarāb se pahle
mil chuke hain gulab se pahle
aap ke intiKHab se pahle
hum tera e'tibar kar lenge
mutmain hun jawab se pahle
muntazir nind kah rahi hai ye
dur hun iztirab se pahle
pyar ka bhi sabaq zaruri hai
ilm ki har kitab se pahle
tham len hath dafatan un ka
puchhna kya janab se pahle
aap mein bhi nasha kahan kam hai
kash aate sharab se pahle
tab kahin wo jhalak dikhaega
pak ho len sawab se pahle
jawedan kaun hai zamane mein
puchh len ye habab se pahle
ai KHuda baKHsh de hamein jannat
dasht sahra sarab se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.