Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil gai hai baadiya-paimai se manzil meri

Ghulam Husain Sajid

mil gai hai baadiya-paimai se manzil meri

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    mil ga.ī hai bādiya-paimā.ī se manzil mirī

    kaam aa.ī hai bil-āḳhir sa.i-e-lā-hāsil mirī

    paañv dharne ko mayassar aa nahīñ paatī zamīñ

    naav ruk jaatī hai aa kar jab lab-e-sāhil mirī

    ik kamī merī tag-o-dau meñ kahīñ maujūd hai

    ho nahīñ paa.ī abhī tak koī shai kāmil mirī

    mil nahīñ paatī ḳhud apne-āp se fursat mujhe

    mujh se bhī mahrūm rahtī hai kabhī mahfil mirī

    maiñ yahīñ rah jā.ūñgā ho kar asīr-e-dām-e-asr

    raah taktā rahegā merā mustaqbil mirī

    kyā bachā.ūñ daan meñ kyā duuñ samajh aatā nahīñ

    daulat-e-dil māñgtā hai mujh se ik saa.il mirī

    koī apne se gilā hotā na 'sājid' dahr se

    ġhaur se ik baat sun letā agar ye dil mirī

    mil gai hai baadiya-paimai se manzil meri

    kaam aai hai bil-aKHir sai-e-la-hasil meri

    panw dharne ko mayassar aa nahin pati zamin

    naw ruk jati hai aa kar jab lab-e-sahil meri

    ek kami meri tag-o-dau mein kahin maujud hai

    ho nahin pai abhi tak koi shai kaamil meri

    mil nahin pati KHud apne-ap se fursat mujhe

    mujh se bhi mahrum rahti hai kabhi mahfil meri

    main yahin rah jaunga ho kar asir-e-dam-e-asr

    rah takta hi rahega mera mustaqbil meri

    kya bachaun dan mein kya dun samajh aata nahin

    daulat-e-dil mangta hai mujh se ek sail meri

    koi apne se gila hota na 'sajid' dahr se

    ghaur se ek baat sun leta agar ye dil meri

    Source :
    • Book : shab khuun (rekhta website)(31) (Pg. 27)
    • Edition : 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now