mil gaya dil nikal gaya matlab
mil gayā dil nikal gayā matlab
aap ko ab kisī se kyā matlab
husn kā ro'b zabt kī garmī
dil meñ ghuT ghuT ke rah gayā matlab
na sahī ishq dukh sahī nāseh
tujh ko kyā kaam tujh ko kyā matlab
muzhda ai dil ki nīm-jāñ huuñ maiñ
ab to puurā huā tirā matlab
apne matlab ke āshnā ho tum
sach hai tum ko kisī se kyā matlab
ātish-e-shauq aur bhaḌkī hai
muñh chhupāne kā khul gayā matlab
kuchh hai matlab to dil se matlab hai
matlab-e-dil se un ko kyā matlab
un kī bāteñ haiñ kitnī pahlū-dār
sab samajh leñ judā judā matlab
us ko ghar se nikāl kar ḳhush ho
kyā 'hasan' thā raqīb kā matlab
mil gaya dil nikal gaya matlab
aap ko ab kisi se kya matlab
husn ka ro'b zabt ki garmi
dil mein ghuT ghuT ke rah gaya matlab
na sahi ishq dukh sahi naseh
tujh ko kya kaam tujh ko kya matlab
muzhda ai dil ki nim-jaan hun main
ab to pura hua tera matlab
apne matlab ke aashna ho tum
sach hai tum ko kisi se kya matlab
aatish-e-shauq aur bhaDki hai
munh chhupane ka khul gaya matlab
kuchh hai matlab to dil se matlab hai
matlab-e-dil se un ko kya matlab
un ki baaten hain kitni pahlu-dar
sab samajh len juda juda matlab
us ko ghar se nikal kar KHush ho
kya 'hasan' tha raqib ka matlab
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 130)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.