Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil gaya shara se sharab ka rang

Akbar Allahabadi

mil gaya shara se sharab ka rang

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

  mil gayā shar.a se sharāb rañg

  ḳhuub badlā ġharaz janāb rañg

  chal diye shaiḳh sub.h se pahle

  uḌ chalā thā zarā ḳhizāb rañg

  paa.ī hai tum ne chāñd sūrat

  āsmānī rahe naqāb rañg

  sub.h ko aap haiñ gulāb phuul

  dopahar ko hai āftāb rañg

  laakh jāneñ nisār haiñ is par

  dīdanī hai tire shabāb rañg

  TikTikī bañdh ga.ī hai būḌhoñ

  dīdanī hai tire shabāb rañg

  josh aatā hai hosh jaatā hai

  dīdanī hai tire shabāb rañg

  riñd-e-ālī-maqām hai 'akbar'

  hai taqvā aur sharāb rañg

  mil gaya shara se sharab ka rang

  KHub badla gharaz janab ka rang

  chal diye shaiKH subh se pahle

  uD chala tha zara KHizab ka rang

  pai hai tum ne chand si surat

  aasmani rahe naqab ka rang

  subh ko aap hain gulab ka phul

  dopahar ko hai aaftab ka rang

  lakh jaanen nisar hain is par

  didani hai tere shabab ka rang

  TikTiki bandh gai hai buDhon ki

  didani hai tere shabab ka rang

  josh aata hai hosh jata hai

  didani hai tere shabab ka rang

  rind-e-ali-maqam hai 'akbar'

  bu hai taqwa ki aur sharab ka rang

  Source :
  • Book : kulliyat-e-akbar allahabadi (Pg. 38)
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now