mil jae kisi sham kisi raat kisi din
mil jaa.e kisī shaam kisī raat kisī din
vo mere tasavvur kī mulāqāt kisī din
ahbāb ne ik shaḳhs tarāshā hai ajab sā
is ko bhī yahāñ lā.eñge ham saath kisī din
ḳhvāboñ ke bahut phuul mahakte haiñ laboñ par
ta.abīr kī ho jaa.e koī baat kisī din
vo aañkh jo sahrā kī tarah hai yak-o-tanhā
is raah meñ rakh do koī barsāt kisī din
be-ḳhauf havāoñ kā abhī zor hai qaa.em
mausam kī tarah badleñge hālāt kisī din
mil jae kisi sham kisi raat kisi din
wo mere tasawwur ki mulaqat kisi din
ahbab ne ek shaKHs tarasha hai ajab sa
is ko bhi yahan laenge hum sath kisi din
KHwabon ke bahut phul mahakte hain labon par
tabir ki ho jae koi baat kisi din
wo aankh jo sahra ki tarah hai yak-o-tanha
is rah mein rakh do koi barsat kisi din
be-KHauf hawaon ka abhi zor hai qaem
mausam ki tarah badlenge haalat kisi din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.