mil kar bhi KHush nahin hai bichhaD kar KHafa nahin
mil kar bhi KHush nahin hai bichhaD kar KHafa nahin
Aftab Alam Shah Rahbar
MORE BYAftab Alam Shah Rahbar
mil kar bhī ḳhush nahīñ hai bichhaḌ kar ḳhafā nahīñ
kyā chāhtā hai aadmī kuchh bhī pata nahīñ
maiñ jāntā huuñ ruuTh ke jaane ke dard ko
so maiñ tumhārī baat se bilkul ḳhafā nahīñ
kāñTe mile yā phuul ye qismat kī baat hai
tū kyoñ udaas hai tirī koī ḳhatā nahīñ
lahje meñ us ke tanz zamāne kī den hai
vo saḳht-jān dil kā zarā bhī burā nahīñ
jā shauq se ai dost ḳhudā ḳhush rakhe tujhe
mat soch mere saath ye pahlī dafa nahīñ
mil kar bhi KHush nahin hai bichhaD kar KHafa nahin
kya chahta hai aadmi kuchh bhi pata nahin
main jaanta hun ruTh ke jaane ke dard ko
so main tumhaari baat se bilkul KHafa nahin
kanTe mile ya phul ye qismat ki baat hai
tu kyon udas hai teri koi KHata nahin
lahje mein us ke tanz zamane ki den hai
wo saKHt-jaan dil ka zara bhi bura nahin
ja shauq se ai dost KHuda KHush rakhe tujhe
mat soch mere sath ye pahli dafa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.