mil kar dil jab bad-dil hote jate hain
mil kar dil jab bad-dil hote jaate haiñ
tab din kaafī mushkil hote jaate haiñ
aa jaatā hai ham ko jiinā bhī lekin
ham marne ke qābil hote jaate haiñ
us kī zaat ke bhed mazāhir meñ raushan
jo samjheñ vo kāmil hote jaate haiñ
dard-e-dil ke ghā.il hote jaate haiñ
aap hamārī manzil hote jaate haiñ
koī koshish kar ke dekhe to 'ahmad'
āsānī se hāsil hote jaate haiñ
mil kar dil jab bad-dil hote jate hain
tab din kafi mushkil hote jate hain
aa jata hai hum ko jina bhi lekin
hum marne ke qabil hote jate hain
us ki zat ke bhed mazahir mein raushan
jo samjhen wo kaamil hote jate hain
dard-e-dil ke ghail hote jate hain
aap hamari manzil hote jate hain
koi koshish kar ke dekhe to 'ahmad'
aasani se hasil hote jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.