mil ke ek bar use yaad nahin hone ke
mil ke ik baar use yaad nahīñ hone ke
dil ke ujḌe nagar ābād nahīñ hone ke
ab na.e zulm to ījād nahīñ hone ke
sāhibā ham koī fariyād nahīñ hone ke
sachche 'ushshāq to nāpaid hue duniyā meñ
ab koī shīrīñ-o-farhād nahīñ hone ke
dil meñ Thānī hai bhulā deñ tumheñ dhīre dhīre
aur is ishq meñ barbād nahīñ hone ke
ek vā'de ne yuuñ pā-basta kiyā hai ham ko
ab kisī taur bhī āzād nahīñ hone ke
ham ne har haal meñ jiine kī qasam khaa.ī hai
ham kabhī ziist meñ nāshād nahīñ hone ke
ek kam-zarf se kyā zarf kī ummīd kareñ
haiñ jo baune kabhī shamshād nahīñ hone ke
mil ke ek bar use yaad nahin hone ke
dil ke ujDe nagar aabaad nahin hone ke
ab nae zulm to ijad nahin hone ke
sahiba hum koi fariyaad nahin hone ke
sachche 'ushshaq to napaid hue duniya mein
ab koi shirin-o-farhad nahin hone ke
dil mein Thani hai bhula den tumhein dhire dhire
aur is ishq mein barbaad nahin hone ke
ek wa'de ne yun pa-basta kiya hai hum ko
ab kisi taur bhi aazad nahin hone ke
hum ne har haal mein jine ki qasam khai hai
hum kabhi zist mein nashad nahin hone ke
ek kam-zarf se kya zarf ki ummid karen
hain jo baune kabhi shamshad nahin hone ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.