mil ke qatre bhi samundar se samundar ho gae
mil ke qatre bhi samundar se samundar ho gae
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
MORE BYRajeev Riyaz Pratapgarhi
mil ke qatre bhī samundar se samundar ho ga.e
kitne pasta-qad muqaddar ke sikandar ho ga.e
chhoḌ kar sab lahlahāte khet pāgal-pan meñ ham
shahr aa.e aur yahāñ baniyoñ ke naukar ho ga.e
aaj tak haiñ muntazir jo kar na paa.e dastyāb
qadar us ne kī nahīñ jis ko mayassar ho ga.e
chāhte the dard ham karnā zamāne se bayāñ
bas isī koshish meñ jaane kab suḳhanvar ho ga.e
gaañv meñ yāroñ se laḌ kar hañste rote the 'riyāz'
Thokareñ khā khā ke ham shahroñ meñ patthar ho ga.e
mil ke qatre bhi samundar se samundar ho gae
kitne pasta-qad muqaddar ke sikandar ho gae
chhoD kar sab lahlahate khet pagal-pan mein hum
shahr aae aur yahan baniyon ke naukar ho gae
aaj tak hain muntazir jo kar na pae dastyab
qadar us ne ki nahin jis ko mayassar ho gae
chahte the dard hum karna zamane se bayan
bas isi koshish mein jaane kab suKHanwar ho gae
ganw mein yaron se laD kar hanste rote the 'riyaz'
Thokaren kha kha ke hum shahron mein patthar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.