mil ke rahta hun sada chaaron ke sath
mil ke rahtā huuñ sadā chāroñ ke saath
bevafā.ī kyā karūñ yāroñ ke saath
kaun mohsin hai patā chal jā.egā
mil ke baiThoge jo tum yāroñ ke saath
qatl sāhil par huā shāyad koī
bah rahā hai ḳhuun bhī dhāroñ ke saath
aabrū kī pāsbānī shart hai
hai guloñ kī zindagī ḳhāroñ ke saath
dāġh-e-dil dāġh-e-jigar raushan hue
haiñ farozāñ chāñd aur tāroñ ke saath
un se ummīd-e-vafā 'fānī' na kar
kaisī hamdardī jafā-kāroñ ke saath
mil ke rahta hun sada chaaron ke sath
bewafai kya karun yaron ke sath
kaun mohsin hai pata chal jaega
mil ke baiThoge jo tum yaron ke sath
qatl sahil par hua shayad koi
bah raha hai KHun bhi dhaaron ke sath
aabru ki pasbani shart hai
hai gulon ki zindagi KHaron ke sath
dagh-e-dil dagh-e-jigar raushan hue
hain farozan chand aur taron ke sath
un se ummid-e-wafa 'fani' na kar
kaisi hamdardi jafa-karon ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.