mil na pae kahin to hairat kya
mil na paa.e kahīñ to hairat kyā
tum samundar hue na ham dariyā
mauj-dar-mauj hai yahī charchā
kashtiyoñ se milā hai kyoñ dariyā
umr bhar kā hisāb thā un se
chand lamhoñ meñ pūchhte kyā kyā
mere ghar kā charāġh bujhte hī
chaḌh gayā kitnā bhaav sūraj kā
tishna-lab huuñ koī faqīr nahīñ
mat hiqārat se dekh ai dariyā
pūchh baiThe jo kyā diyā tū ne
zindagī kā utar gayā chehra
sab kī duniyā tabāh karte ho
tum bhī kyā ho ga.e ho amrīkā
muddatoñ se talāsh meñ huuñ 'fahīm'
kho gayā hai kahāñ mirā chehra
mil na pae kahin to hairat kya
tum samundar hue na hum dariya
mauj-dar-mauj hai yahi charcha
kashtiyon se mila hai kyon dariya
umr bhar ka hisab tha un se
chand lamhon mein puchhte kya kya
mere ghar ka charagh bujhte hi
chaDh gaya kitna bhaw suraj ka
tishna-lab hun koi faqir nahin
mat hiqarat se dekh ai dariya
puchh baiThe jo kya diya tu ne
zindagi ka utar gaya chehra
sab ki duniya tabah karte ho
tum bhi kya ho gae ho amrika
muddaton se talash mein hun 'fahim'
kho gaya hai kahan mera chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.