mil rahe ho baDi aqidat se
mil rahe ho baḌī aqīdat se
ḳhauf aatā hai itnī izzat se
ham ziyāda bigāḌ dete haiñ
bach ke rahnā hamārī sohbat se
log kirdār banñā chāhte haiñ
jaise mumkin hai sab riyāzat se
us ke dil meñ utarne lagtā huuñ
jo mujhe dekhtā hai nafrat se
zahr ījād ho gayā ik din
log marte the pahle ġhairat se
parda-dāroñ ne ḳhud-kushī kar lī
sahn jhāñkā gayā kisī chhat se
fāsle baḌh ga.e rifāqat meñ
dūriyāñ paḌ ga.ī haiñ qurbat se
us ne mujh ko bhulā diyā ik din
aur bhulāyā bhī kis suhūlat se
apnī gardan jhukā ke baat karo
tum nikāle ga.e ho jannat se
mil rahe ho baDi aqidat se
KHauf aata hai itni izzat se
hum ziyaada bigaD dete hain
bach ke rahna hamari sohbat se
log kirdar banna chahte hain
jaise mumkin hai sab riyazat se
us ke dil mein utarne lagta hun
jo mujhe dekhta hai nafrat se
zahr ijad ho gaya ek din
log marte the pahle ghairat se
parda-daron ne KHud-kushi kar li
sahn jhanka gaya kisi chhat se
fasle baDh gae rifaqat mein
duriyan paD gai hain qurbat se
us ne mujh ko bhula diya ek din
aur bhulaya bhi kis suhulat se
apni gardan jhuka ke baat karo
tum nikale gae ho jannat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.