mila bhi ye to use phir KHuda nahin milta
milā bhī ye to use phir ḳhudā nahīñ miltā
nahīñ nahīñ dil-e-be-mudda.ā nahīñ miltā
vo kah rahe haiñ ki un ko ḳhudā nahīñ miltā
koī hamāre sivā dūsrā nahīñ miltā
miTe huoñ kā ilāhī patā nahīñ miltā
rah-e-adam meñ kahīñ naqsh-e-pā nahīñ miltā
hinā se ḳhuun kisī ġhair kā milā hogā
hamāre ḳhuun se rañg-e-hinā nahīñ miltā
zamīn par kabhī un ke qadam nahīñ paḌte
ki sajda karne ko bhī naqsh-e-pā nahīñ miltā
nikal ke dekhte kyā hai havā zamāne kī
dar-e-qafas kabhī ham ko khulā nahīñ miltā
lahad se uTh ke kahāñ jā.iye qayāmat hai
vo bhiiḌ hai ki kahīñ rāsta nahīñ miltā
achhūte jaam haiñ mannat ke kuchh alag rakkhe
kise pilā.eñ koī pārsā nahīñ miltā
ye aas laa.ī hai saaqī ke āstāne par
dar-e-karīm se saa.il ko kyā nahīñ miltā
burī tarah lab-e-shīrīñ kisī ne chūse haiñ
ki gāliyoñ meñ tirī ab mazā nahīñ miltā
bajā ke dekhe haiñ nāqūs ham ne vaqt-e-azāñ
'riyāz' aap kā un se galā nahīñ miltā
mila bhi ye to use phir KHuda nahin milta
nahin nahin dil-e-be-muddaa nahin milta
wo kah rahe hain ki un ko KHuda nahin milta
koi hamare siwa dusra nahin milta
miTe huon ka ilahi pata nahin milta
rah-e-adam mein kahin naqsh-e-pa nahin milta
hina se KHun kisi ghair ka mila hoga
hamare KHun se rang-e-hina nahin milta
zamin par kabhi un ke qadam nahin paDte
ki sajda karne ko bhi naqsh-e-pa nahin milta
nikal ke dekhte kya hai hawa zamane ki
dar-e-qafas kabhi hum ko khula nahin milta
lahad se uTh ke kahan jaiye qayamat hai
wo bhiD hai ki kahin rasta nahin milta
achhute jam hain mannat ke kuchh alag rakkhe
kise pilaen koi parsa nahin milta
ye aas lai hai saqi ke aastane par
dar-e-karim se sail ko kya nahin milta
buri tarah lab-e-shirin kisi ne chuse hain
ki galiyon mein teri ab maza nahin milta
baja ke dekhe hain naqus hum ne waqt-e-azan
'riyaz' aap ka un se gala nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.