mila hai jabr mein bhi utna iKHtiyar mujhe
milā hai jabr meñ bhī utnā iḳhtiyār mujhe
jo be-qarār huā aa gayā qarār mujhe
na fasl-e-gul kī ḳhatā hai na bādaloñ kā qusūr
tirī nazar ne banāyā hai bāda-ḳhvār mujhe
basā hai ruuh ke pardoñ meñ aaj tak vo surūr
pukār phir usī andāz se pukār mujhe
maiñ phir qafas meñ huuñ phir aa.ī hai chaman meñ bahār
phir ab ke yaad karegī mujhe bahār mujhe
uThā rahā huuñ sar-e-tūr ḳhaak ke zarre
mile haiñ ye tire jalve ke parda-dār mujhe
ḳhatā muaaf agar ho to ek baat kahūñ
tire karam ne banāyā gunāhgār mujhe
kisī kī ḳhaak pe sajde kiye jo maiñ ne 'sa.īd'
atā huā hai do-ālam pe iftiḳhār mujhe
mila hai jabr mein bhi utna iKHtiyar mujhe
jo be-qarar hua aa gaya qarar mujhe
na fasl-e-gul ki KHata hai na baadalon ka qusur
teri nazar ne banaya hai baada-KHwar mujhe
basa hai ruh ke pardon mein aaj tak wo surur
pukar phir usi andaz se pukar mujhe
main phir qafas mein hun phir aai hai chaman mein bahaar
phir ab ke yaad karegi mujhe bahaar mujhe
uTha raha hun sar-e-tur KHak ke zarre
mile hain ye tere jalwe ke parda-dar mujhe
KHata muaf agar ho to ek baat kahun
tere karam ne banaya gunahgar mujhe
kisi ki KHak pe sajde kiye jo main ne 'said'
ata hua hai do-alam pe iftiKHar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.