mila hai wo mujhe dil ki badaulat
milā hai vo mujhe dil kī badaulat
ye āsānī hai mushkil kī badaulat
mujhe kuchh sīpiyāñ haath aa ga.ī haiñ
kisī ḳhāmosh sāhil kī badaulat
tajassus aarzū manzil ba-dāmāñ
mirī manzil hai manzil kī badaulat
tilāvat meñ tabī.at lag rahī hai
ḳhudā kā shukr ik til kī badaulat
dar-o-dīvār-e-zindāñ jānte haiñ
mujhe tauq-o-salāsil kī badaulat
mila hai wo mujhe dil ki badaulat
ye aasani hai mushkil ki badaulat
mujhe kuchh sipiyan hath aa gai hain
kisi KHamosh sahil ki badaulat
tajassus aarzu manzil ba-daman
meri manzil hai manzil ki badaulat
tilawat mein tabiat lag rahi hai
KHuda ka shukr ek til ki badaulat
dar-o-diwar-e-zindan jaante hain
mujhe tauq-o-salasil ki badaulat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.