mila junun ko jo paigham-e-Khaar-paimai
milā junūñ ko jo paiġhām-e-ḳhār-paimā.ī
dahān-e-dasht se āvāz-e-al-amāñ aa.ī
adam se joshish-e-vahshat meñ tā-vajūd aa.ī
kahāñ se khīñch ke mujh ko qazā kahāñ laa.ī
naqab lagā ke mirī aah un kī palkoñ meñ
nigāh-e-nāz se kuchh bijliyāñ churā laa.ī
yahāñ to gosha-e-dil hī meñ jaane kyā dekhā
kalīm tuur pe karte haiñ ḳhār-paimā.ī
'jamāl'-e-zār kī jānib nigāh kyoñ uTThe
nazar ko un kī hai andesha-e-masīhā.ī
mila junun ko jo paigham-e-KHar-paimai
dahan-e-dasht se aawaz-e-al-aman aai
adam se joshish-e-wahshat mein ta-wajud aai
kahan se khinch ke mujh ko qaza kahan lai
naqab laga ke meri aah un ki palkon mein
nigah-e-naz se kuchh bijliyan chura lai
yahan to gosha-e-dil hi mein jaane kya dekha
kalim tur pe karte hain KHar-paimai
'jamal'-e-zar ki jaanib nigah kyon uTThe
nazar ko un ki hai andesha-e-masihai
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 279)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.