mila ke hath masarrat kashid ki jae
milā ke haath masarrat kashīd kī jaa.e
vo sāmne nazar aa.e to 'iid kī jaa.e
junūn-e-'ishq kahāñ nāp-tol jaane hai
agar huī hai mohabbat shadīd kī jaa.e
vahāñ to amn ke sajdoñ kī nūr-pāshī thī
kahā thā kis ne ki masjid shahīd kī jaa.e
chalan vafā kā tumhārī sarisht meñ hī nahīñ
to kis umiid pe tum se umiid kī jaa.e
ḳhulūs-o-pyār se patthar pighalte dekhe haiñ
anā hai dushman-e-jānāñ murīd kī jaa.e
rivāyatoñ kā bhī apnā mizāj hai 'fārūq'
ġhazal zarūrī nahīñ hai jadīd kī jaa.e
mila ke hath masarrat kashid ki jae
wo samne nazar aae to 'id ki jae
junun-e-'ishq kahan nap-tol jaane hai
agar hui hai mohabbat shadid ki jae
wahan to amn ke sajdon ki nur-pashi thi
kaha tha kis ne ki masjid shahid ki jae
chalan wafa ka tumhaari sarisht mein hi nahin
to kis umid pe tum se umid ki jae
KHulus-o-pyar se patthar pighalte dekhe hain
ana hai dushman-e-jaanan murid ki jae
riwayaton ka bhi apna mizaj hai 'faruq'
ghazal zaruri nahin hai jadid ki jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.