mila na lafz-e-musibat ko sargirani se
mila na lafz-e-musibat ko sargirani se
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
milā na lafz-e-musībat ko sargirānī se
ma.ānī khulne nahīñ mere tarjumānī se
hamārī nabz meñ jumbish hai pāñch hijr ke ba.ad
hamārā ishq purānā hai rā.egānī se
so umr bhar meñ kisī ko samajh nahīñ aayā
judā rakhā gayā mujh ko mere ma.ānī se
kabhī sarāb se uThtā huā hī mil jā.ūñ
kabhī kabhī to hai mumkin milūñ na paanī se
lihāzā markazī kirdār ban gayā huuñ maiñ
mujhe nikāl na pāoge ab kahānī se
bā-ehtiyāt use soche ho gayā arsa
vo mere dhyān meñ aayā hai be-dhiyānī se
tujhe ġhazal meñ pironā hai shaġhl ġhālib kā
ki terā naqsh banegā to sirf ma.anī se
mila na lafz-e-musibat ko sargirani se
maani khulne nahin mere tarjumani se
hamari nabz mein jumbish hai panch hijr ke baad
hamara ishq purana hai raegani se
so umr bhar mein kisi ko samajh nahin aaya
juda rakha gaya mujh ko mere maani se
kabhi sarab se uThta hua hi mil jaun
kabhi kabhi to hai mumkin milun na pani se
lihaza markazi kirdar ban gaya hun main
mujhe nikal na paoge ab kahani se
ba-ehtiyat use soche ho gaya arsa
wo mere dhyan mein aaya hai be-dhiyani se
tujhe ghazal mein pirona hai shaghl ghaalib ka
ki tera naqsh banega to sirf mani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.