mila qatra to karte kyon shikayat tum muqaddar ki
milā qatra to karte kyoñ shikāyat tum muqaddar kī
gila qismat kā hai phir kyoñ na koshish kī samundar kī
baḌe aḳhlāq vaalī un kī aulād-e-narīna hai
sharī.at ke tamasḳhur meñ zabāñ chaltī hai duḳhtar kī
agar hai ḳhāksārī to bulandī par qadam hoñge
jagah fir.aun hāsil kar nahīñ saktā sikandar kī
ḳhudā par ho yaqīñ kāmil agar insāñ na ho kāhil
talātum-ḳhez maujeñ bhī madad kartīñ samundar kī
qanā.at sabr 'parvāna' ye haiñ alfāz achchhe par
nasīhat par amal ḳhud kar na khā Thokar tū dar dar kī
mila qatra to karte kyon shikayat tum muqaddar ki
gila qismat ka hai phir kyon na koshish ki samundar ki
baDe aKHlaq wali un ki aulad-e-narina hai
shariat ke tamasKHur mein zaban chalti hai duKHtar ki
agar hai KHaksari to bulandi par qadam honge
jagah firaun hasil kar nahin sakta sikandar ki
KHuda par ho yaqin kaamil agar insan na ho kahil
talatum-KHez maujen bhi madad kartin samundar ki
qanaat sabr 'parwana' ye hain alfaz achchhe par
nasihat par amal KHud kar na kha Thokar tu dar dar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.