mila to de ke judai chala gaya aaKHir
milā to de ke judā.ī chalā gayā āḳhir
hamāre hisse meñ tanhā safar rahā āḳhir
agar ye tai thā ki har baat se mukarnā hai
to saath dene kā va.ada hī kyoñ kiyā āḳhir
use ḳhayāl thā kitnā jahān vāloñ kā
isī ḳhayāl meñ jaañ se guzar gayā āḳhir
tazād-e-fikr kā ilzām kuchh durust nahīñ
kahā thā maiñ ne jo avval vahī kahā āḳhir
vo mere dard mire ġham ko bāñTne vaalā
ik aur karb mujhe daan kar gayā āḳhir
tumheñ yaqīn thā ham dostī nibhā leñge
hameñ gumān thā jis kā vahī huā āḳhir
farāz-e-dār se pahle kā vaqt mushkil thā
kisī kī yaad ke saa.e meñ kaT gayā āḳhir
jab iḳhtiyār thā tum faisla sunā dete
tamām umr tazabzub meñ kyoñ rakkhā āḳhir
maiñ us ke haath se niklā huā zamāna thā
vo merī khoj meñ niklā bikhar gayā āḳhir
maiñ e'tibār kī duniyā se kaT gayā 'anvar'
kisī ke saath maiñ itnā bhī kyoñ chalā āḳhir
mila to de ke judai chala gaya aaKHir
hamare hisse mein tanha safar raha aaKHir
agar ye tai tha ki har baat se mukarna hai
to sath dene ka wada hi kyon kiya aaKHir
use KHayal tha kitna jahan walon ka
isi KHayal mein jaan se guzar gaya aaKHir
tazad-e-fikr ka ilzam kuchh durust nahin
kaha tha main ne jo awwal wahi kaha aaKHir
wo mere dard mere gham ko banTne wala
ek aur karb mujhe dan kar gaya aaKHir
tumhein yaqin tha hum dosti nibha lenge
hamein guman tha jis ka wahi hua aaKHir
faraaz-e-dar se pahle ka waqt mushkil tha
kisi ki yaad ke sae mein kaT gaya aaKHir
jab iKHtiyar tha tum faisla suna dete
tamam umr tazabzub mein kyon rakkha aaKHir
main us ke hath se nikla hua zamana tha
wo meri khoj mein nikla bikhar gaya aaKHir
main e'tibar ki duniya se kaT gaya 'anwar'
kisi ke sath main itna bhi kyon chala aaKHir
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.